har koi turra-e-pechaak pahan kar nikla

har koi turra-e-pechaak pahan kar nikla
ek main pairahan-e-khak pahan kar nikla

aur phir sab ne ye dekha ki isi maqtal se
mera qatil meri poshak pahan kar nikla

ek banda tha ki odhe tha khudai sari
ek sitara tha ki aflak pahan kar nikla

aisi nafrat thi ki is shahr ko jab aag lagi
har bagula khas-o-khashak pahan kar nikla

tarkash o dam abas le ke chala hai sayyaad
jo bhi nakhchir hai fitrak pahan kar nikla

us ke qamat se use jaan gae log 'faraaz'
jo labaada bhi wo chaalak pahan kar nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close