har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai

har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai
wo mera lahu hai ki mera dushman-e-jaan hai

is daur mein jine ki saza kat raha hun
har sans ki raftar mein ehsas-e-ziyan hai

ud jate hain shakhon se sahar hote hi tair
bas rain-basera hai yahan jo bhi makan hai

donon hi junun-khezi ke tufan mein giraftar
tahzib-e-ibaadat na yahan hai na wahan hai

rishte sabhi zanjir-e-zarurat se jude the
ab kaun ye puchhe ki 'taqi' hai to kahan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close