har lamha agar gurez-pa hai tu kyun mere dil mein bas gaya hai chilman mein gulab sambhal raha hai ye tu hai ki shokhi-e-saba hai jhukti nazren bata rahi hain mere liye tu bhi sochta hai main tere kahe se chup hun lekin chup bhi tu bayan-e-muddaa hai har des ki apni apni boli sahra ka sukut bhi sada hai ek umr ke baad muskura kar tu ne to mujhe rula diya hai us waqt ka hisab kya dun jo tere baghair kat gaya hai mazi ki sunaun kya kahani lamha lamha guzar gaya hai mat mang duaen jab mohabbat tera mera muamla hai ab tujh se jo rabt hai to itna tera hi khuda mera khuda hai rone ko ab ashk bhi nahin hain ya ishq ko sabr aa gaya hai ab kis ki talash mein hain jhonke main ne to diya bujha diya hai kuchh khel nahin hai ishq karna ye zindagi bhar ka rat-jaga hai