tere KHayal ka charcha tere KHayal ki baat

tere khayal ka charcha tere khayal ki baat
shab-e-firaq mein paiham rahi visal ki baat

thinking of you, talking about thoughts about you,
the night of separation is seamless with the talk of union

tum apni chaaragari ko na phir karo ruswa
hamare haal pe chhodo hamare haal ki baat

don't bring shame to your powers of healing
leave it to us to deal with our own state

kaman si abru ka aalam ajib hai dekho
falak ke chand se behtar hai us hilal ki baat

see, the brow like an arched bow is an amazing sight
its luminosity is greater than the new moon in the skies

yahi fasana raha hai junun ke sahra mein
kabhi firaq ke qisse kabhi visal ki baat

it has always been so in the desert of mad longing
sometimes the legends of partings, sometimes the talk of meeting

bahaar aai to khul kar kaha hai phulon ne
ye kis ne chhed di gulshan mein phir jamal ki baat

with the coming of spring, flowers have burst into speech
who has again spread this tale of beauty in the garden

tu apne aap mein tanha hai meri nazron mein
kahan se dhund ke laun tere misal ki baat

you alone are the only one in my eyes
where shall i find another one like you

bina talab ke ata kar raha hai wo mujh ko
labon pe mere na aae kabhi sawal ki baat

wiithout asking, he grants me gifts
never should a request ever arise on my lips


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close