har mod ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho bite hue dinon ko ghubar-e-safar kaho khun-gashta aarzu ko kaho sham-e-mai-kada dil ki jarahaton ko chaman ki sahar kaho har rahguzar pe karta hun zanjir ka qayas chaho to tum use bhi junun ka asar kaho meri mata-e-dard yahi zindagi to hai na-mo'tabar kaho ki use mo'atabar kaho ye bhi uruj-e-rang ka ek moajiza sahi phulon ki tazgi ko farogh-e-sharar kaho danish-waran-e-haal ka 'taban' hai mashwara har manzar-e-jahan ko fareb-e-nazar kaho