har nae chehre se paida ek naya chehra hua taq-e-nisyan par hai koi aaina rakkha hua be-wasila is jahan mein maut bhi mumkin nahin hila-e-dar-o-rasan bhi hai mera samjha hua zakhm gahre kar rahi hai har nae misre ki kat sher kahne se bhi dil ka bojh kab halka hua zindagi kya jaane kyun mahsus hota hai mujhe tujh se pahle bhi ho jaise zahr ye chakkha hua huk si uthti hai 'sahba' aasman ko dekh kar gar main shoala hun to phir kyun khak se paida hua