har nafas par ye guman hai ki KHata ho jaise

har nafas par ye guman hai ki khata ho jaise
umr yun guzri ki jine ki saza ho jaise

main ba-har-taur hun paband-e-shumar-e-anfas
saz har haal mein majbur-e-nawa ho jaise

zindagi amr-e-mashiyyat hai magar kya kahiye
wo nadamat hai koi jurm kiya ho jaise

mujh ko har hadisa-e-asr hua yun mahsus
mere hi dil ke dhadakne ki sada ho jaise

is tarah naz hai daman-e-tahi par mujh ko
meri mahrumi bhi us ki hi ata ho jaise

khanda-e-gul se bhi ehsas pe yun chot lagi
mere hi chaak gareban pe hansa ho jaise

yun nibard-azma har nafs-o-zamir aaj bhi hai
zindagi marka-e-karb-o-bala ho jaise

arsa-e-zehn mein yun fikr hai laghzida khiram
dasht-e-pur-khar mein ek aabla-pa ho jaise

yun meri zist bhi bargashta hai mujh se 'athar'
kisi be-mehr ke daman ki hawa ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close