har nai sham ye ehsas hua ho goya mera saya mere paikar se bada ho goya tere lahje mein to thi hi teri talwar ki kat teri yaadon mein bhi ab zahar mila ho goya pichhle mausam mein sabhi girya-kunan the magar ab chashm-e-khun-rang mein sailab ruka ho goya chand nikla to meri zat ko andaza hua us ne chupke se mera nam liya ho goya chun liya main ne to phir apni mohabbat ka khuda us ko ab bhi hai guman mera khuda ho goya ek muddat se khalaon mein thin aankhen raushan ab ye aalam hai ki aankhon mein khala ho goya phul khilne ko to naqqash khile khwab magar mere zakhmon ke chatakhne ki sada ho goya