har raat intizar-e-sahar kar liya gaya is tarah zindagi ko basar kar liya gaya meri tamam umr kati iztirab mein mujh se sukun ka sans bhi mar kar liya gaya marne se mere ruk na saka mera karwan diwar-e-tirgi mein bhi dar kar liya gaya bedi agar safar mein na saya kahin mila sae ki aarzu mein safar kar liya gaya