har sawal ka apne KHud jawab ho jae

har sawal ka apne khud jawab ho jae
zarre ki tamanna hai aaftab ho jae

tu kabhi jo bhule se be-naqab ho jae
muntaqil haqiqat mein apna khwab ho jae

ishq ke parastaro kuchh kami to hai warna
bul-hawas mohabbat mein kaamyab ho jae

ham-nafas khuda-hafiz ghuncha-o-anadil ka
baghban ki niyyat hi jab kharab ho jae

mai-kade mein tauba ka kis ko hosh rahta hai
aur har nazar teri jab sharab ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close