har shai jahan ki gard-o-ghubar-e-khayal hai aashob-gah-e-dahr mein jina muhaal hai ye gulshan-e-yaqin bhi ba-juz wahm kuchh nahin aalam jise kahen wo tilism-e-khayal hai nairagi-e-nazar ke siwa aur kuchh nahin dud-e-firaq jalwa-e-sham-e-visal hai ye naghma-e-wajud kisi ragni ki rakh ek chikh saz-e-umr-e-abad ka maal hai har mauj hai ki hath se chhutti hui inan wo jast-o-khez hai ki sambhalna muhaal hai tapte dinon ki aag mein jine ki aarzu shabnam ba-ru-e-gul araq-e-infial hai tanhaiyon mein baith ke khud ko shikar kar ye dasht-e-dil bhi dasht-e-khutan ki misal hai