kahne ko to kya kya na dil-e-zar mein aae har baat kahan qalib-e-izhaar mein aae nazdik jo pahunche to wo aahon ka dhuan tha kahne ko to hum saya-e-diwar mein aae har mauja-e-khun sar se guzar jae to achchha har phul mere halqa-e-dastar mein aae hum apni salibon ki hifazat mein khade hain ab jo bhi shikan gesu-e-dil-dar mein aae panw mein agar tauq-o-salasil hain to kya gham ai ham-safaro farq na raftar mein aae ek umr bhatakte hue guzri hai junun mein ab kaun fareb-e-nigah-e-yar mein aae ai kash kabhi us ka idhar se bhi guzar ho ek din to saba laut ke gulzar mein aae jachte bhi to kya chashm-e-kharidar mein 'tahir' hum kaun se yusuf the jo bazar mein aae