har shai ki aqidat se taswir nahin banti

har shai ki aqidat se taswir nahin banti
har khak-e-qadam yaro iksir nahin banti

jab waqt bigadta hai hota hai jahan dushman
jab baat bigadti hai tadbir nahin banti

haalat jab insan ko diwana banate hain
haalat ke hathon phir zanjir nahin banti

khud jehd-e-musalsal se qismat ko sanwaro tum
auron ke banae se taqdir nahin banti

mange hue sikkon ka mear nahin hota
luti hui daulat se jagir nahin banti

isar batana hai mehrab-e-wafa aksar
isar ke hathon se shamshir nahin banti

ai shisha-garon ab tak aakhir ye kami kyun hai
aaina banate ho taswir nahin banti

ikhlas ke sanche mein dhalta hai asar lekin
alfaz ke pahlu mein tasir nahin banti

qismat ke likhe mein kya tarmim karun 'sajid'
majbur hun is jaisi tahrir nahin banti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close