har shajar ke tain hota hai samar se paiwand

har shajar ke tain hota hai samar se paiwand
aah ko kyun nahin hota hai asar se paiwand

dekhna zor hi gantha hai dil-e-yar se dil
sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand

mizha-e-khun-e-dil aaluda pa ye hai qatra-e-ashk
yun hai jyun shakh ho marjaan ki guhar se paiwand

mil raha hai tere aariz se khat-e-murcha ye
jaise aaine ke jauhar ho jigar se paiwand

sozish-e-ashk se malum ye hota hai mujhe
qatra-e-ab bhi hota hai sharar se paiwand

than zarbaft ke hote the jahan qata 'huzur'
jin ki poshak sada hoti thi zar se paiwand

ab phata jama gazi ka nahin gar hai bhi koi
tu nikale ko nikalta nahin ghar se paiwand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close