har shakhs ko aise dekhta hun jaise kahin dur ja raha hun dekhi hi nahin khizan ki surat kis gulshan-e-shauq ki hawa hun khud apni nigah se hun ru-posh aaina hun jahan-numa hun be-nur hui hain jab se aankhen aaine talash kar raha hun na-qadr-shanas jauhari ko rahon mein pada hua mila hun jab raat ki zulf bhigti hai sannate ki tarah gunjta hun is daur-e-khizan-nasib mein bhi kaliyan si khila khila gaya hun aankhon mein wahshaten rachi hain khwabon mein bhi khak chhanta hun hai chehra jo dagh dagh apna har aaine se khafa khafa hun talwar pe raqs ka natija jab panw kate to sochta hun parda-e-saba na khauf-e-sarsar khakistar-e-yas par khila hun