har waqt nauha-khwan si rahti hain meri aankhen ek dukh bhari kahani kahti hain meri aankhen jazbaat-e-dil ki shiddat sahti hain meri aankhen gul-rang aur shafaq-gun rahti hain meri aankhen aish o tarab ke jalse dard o alam ke manzar kya kuchh na hum ne dekha kahti hain meri aankhen jab se dil o jigar ki hamdard ban gai hain ghamginiyon mein dubi rahti hain meri aankhen labrez ho ke dil ka saghar chhalak utha hai shayad isi sabab se bahti hain meri aankhen har jumbish-e-nazar hai rudad-e-ishq 'akhtar' hain be-zaban magar kuchh kahti hain meri aankhen