hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai

hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai
ye duniya inqilab-e-asman malum hoti hai

mukaddar hai khizan ke khun se aish-e-bahaar-e-gul
khizan ki rut bahaar-e-be-khizan malum hoti hai

mujhe nakaami-e-paiham se mayusi nahin hoti
abhi ummid meri naujawan malum hoti hai

koi jab nala karta hai kaleja tham leta hun
fughan-e-ghair bhi apni fughan malum hoti hai

maal-e-dard-o-gham dekho sada-e-saz-e-ishrat bhi
utar jati hai jab dil mein fughan malum hoti hai

chaman mein andalib-e-zar ki fariyaad ai 'akhtar'
dil-e-nadan ko apni dastan malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close