harf-e-be-awaz se dahka hua ek diya hun taq mein jalta hua is taraf diwar ke bhi main hi tha us taraf bhi main hi tha baitha hua aanganon mein phul the mahke hue khidkiyon mein chand tha thahra hua kore kaghaz par ajab tahrir thi padhte padhte main jise andha hua kya kahun dast-e-hawa ke shobade ret par ek nam tha likkha hua mere khun ki gardishen bhi badh gain us qaba ka rang bhi gahra hua ungliyon mein us badan ka loch hai rang-o-khushbu ka safar taza hua raat bhar jis ki sada aati rahi sochta hun wo parinda kya hua jagti aankhon mein 'akhtar' aks kya main ne dekha qafila jata hua