harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri

harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri
na qasr-e-shah se nisbat na khanqah meri

kisi se koi talluq na rasm-o-rah meri
ki ab hai khema-e-tanhai khanqah meri

na jaane kis ke tajassus mein gharq rahti hai
bhatakti phirti hai chaaron taraf nigah meri

kisi ke ru-ba-ru main sar-nigun hua hi nahin
meri ana ne salamat rakhi kulah meri

main apne mulk-e-sukhan se faraaz chahta hun
mujhe hisar mein rakhti hai ab sipah meri

charagh kis liye dahliz-e-dil pe raushan hain
ye kis ki did ko aankhen hain farsh-e-rah meri

kuchalta rahta hun khauf-e-khuda se sham o sahar
ki sar uthati nahin khwahish-e-gunah meri

main apne-ap mein sarsabz phir bhi rahta hun
agarche kisht-e-tamanna hai be-giyah meri

na jaane kitne dilon mein shigaf kar dale
agar nikal gai 'akhtar' jo dil se aah meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close