hashiye par likhi hui hun main amn ki baat aakhiri hun main main wahin hun jahan mile the hum kis qadar pichhe rah gai hun main us se kahna tha bhul jao mujhe phone par phone kar rahi hun main jab wo gahne dikhane aati hai us ke sab chhed dekhti hun main bech kar zewraat shadi ke chand khushiyan kharidti hun main tum gira kar mujhe sambhal na sake aur gir kar sambhal gai hun main pattharon ko bata diya hai na apne baba ki ladli hun main