hasti hai judai se us ki jab wasl hua to kuchh bhi nahin dariya mein na tha to qatra tha dariya mein mila to kuchh bhi nahin ek shama jali to mahfil mein har samt ujala phail gaya qanun yahi hai fitrat ka parwana jala to kuchh bhi nahin sailab mein tinke raqsan the maujon se safine larzan the ek dariya tha sau tufan the dariya na raha to kuchh bhi nahin asliyat thi ya dhoka tha ek fitna-e-rangin barpa tha sau jalwe the ek parda tha parda na raha to kuchh bhi nahin tufan bhi tha aandhi bhi thi baran bhi tha bijli bhi thi aai jo ghata to sab kuchh tha barsi jo ghata to kuchh bhi nahin phulon se chaman aabaad bhi the dam apna liye sayyaad bhi the sab kuchh tha 'jamil' is gulshan mein badli jo hawa to kuchh bhi nahin