hath aa kar laga gaya koi

hath aa kar laga gaya koi
mera chhappar utha gaya koi

lag gaya ek mashin mein main bhi
shahr mein le ke aa gaya koi

main khada tha ki pith par meri
ishtihaar ek laga gaya koi

ye sadi dhup ko tarasti hai
jaise suraj ko kha gaya koi

aisi mahngai hai ki chehra bhi
bech ke apna kha gaya koi

ab wo arman hain na wo sapne
sab kabutar uda gaya koi

wo gae jab se aisa lagta hai
chhota mota khuda gaya koi

mera bachpan bhi sath le aaya
ganw se jab bhi aa gaya koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close