hawa-e-tez tera ek kaam aaKHiri hai

hawa-e-tez tera ek kaam aakhiri hai
ki nakhl-e-khushk pe mah-e-tamam aakhiri hai

main jis sukun se baitha hun is kinare par
sukun se lagta hai mera qayam aakhiri hai

phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna
kharid lijiye sahib ghulam aakhiri hai

guzar chala hun kisi ko yaqin dilata hua
ki lauh-e-dil pe raqam hai jo nam aakhiri hai

tabhi to ped ki aankhon mein chand bhar aaya
kisi ne kah diya hoga ki sham aakhiri hai

ye lag raha hai mohabbat ke pahle zine par
ki jis maqam pe hun ye maqam aakhiri hai

kisi ne phir se khade kar diye dar-o-diwar
khayal tha ki mera inhidam aakhiri hai

hamare jaise wahan kis shumar mein honge
ki jis qatar mein majnun ka nam aakhiri hai

shuru-e-ishq mein aisi udasiyan 'tabish'
har ek sham ye lagta hai sham aakhiri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close