hawa-e-tund ke aage dhuan thaharta nahin hamare sar pe kabhi aasman thaharta nahin hisab-e-dard karun bhi to is se kya hasil nigah-e-shauq mein harf-e-ziyan thaharta nahin na raste ka unhen ilm hai na manzil ka hazar gard ude karwan thaharta nahin jahan pe sikka-e-zar ki khanak sunai na de faqih-e-shahr ghadi bhar wahan thaharta nahin qarib o dur ye afwah kaisi phail gai kisi ke ghar mein koi mehman thaharta nahin hawa-e-sajda ne har aastan ko dekh liya jabin-e-shauq pe koi nishan thaharta nahin hum apne aap ki pahchan kya karen 'nami' yaqin panapta nahin hai guman thaharta nahin