hawa ke hath mein khanjar hai aur sab chup hain lahu-luhan mera ghar hai aur sab chup hain sadaen bikhri padi hain tamam aangan mein nazar nazar mein ye manzar hai aur sab chup hain na bolne ki manahi na koi dushwari zaban sabhi ko mayassar hai aur sab chup hain qusur-war hun itna ki chashm-did tha main aur ab gunah mere sar hai aur sab chup hain ye buz-dili nahin sahab to aur phir kya hai sitam-shiar sitam par hai aur sab chup hain