hawa ke hausle zanjir karna chahta hai

hawa ke hausle zanjir karna chahta hai
wo meri khwahishen taswir karna chahta hai

nazar jis se chura kar main guzarna chahti hun
wo mausam hi mujhe taskhir karna chahta hai

visal-e-did ko aankhen chhupana chahti hain
magar dil waqia tahrir karna chahta hai

mizaj-e-baad-o-baran aashna hai shauq lekin
nae diwar-o-dar tamir karna chahta hai

mere sare sawal us ki nazar ke muntazir hain
wo danista magar takhir karna chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close