hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai ki baadalon ko bhi misl-e-zanjir dekhti hai mujhe bulata hai phir wahi shahr-e-na-muradi ki aarzu aablon mein taswir dekhti hai jo kashtiyon mein na baith pae wo ghar na pahunche safar ki taid sham-e-taqsir dekhti hai bahut dinon mein sitam ke dariya ka zor tuta sarisht-e-shab bhi barahna tazir dekhti hai samundaron ka uruj phir ret ban gaya hai shahab-e-saqib mein raat tafsir dekhti hai hawa chali thi pa shahr-e-jaan ke the dar muqaffal ye aankh apne hi khwab takhir dekhti hai subu liye tishnagi khadi thi ye jaanti thi ki jaan-faroshon ko qaus-e-shamshir dekhti hai niyabat-e-shahr un ke hathon mein ab na hogi kaman-daron ko shab ki zanjir dekhti hai