nau-giraftar-e-mohabbat kabhi aazad na ho qaid mein qaid rahe qaid ki miad na ho main to khamosh rahun hijr mein dar hai lekin dard uth kar kahin aamada-e-fariyaad na ho tum mein pinhan hain mohabbat ke hazaron jalwe ai meri khak ke zarro kahin barbaad na ho kuchh hain bikhre hue par kunj-e-qafas ke bahar khauf hai aur bhi ruswa kahin sayyaad na ho phut kar kis ke ye rone ki sada aati hai dard-e-ulfat kahin mera dil-e-nashad na ho dil ki iza-talabi puchh lun kya kahti hai thahro thahro abhi dam-bhar koi bedad na ho 'shauq' kar dun jo bayan kawish-e-gham ki haalat apna qissa bhi kam-az qissa-e-farhad na ho