hawa ne sine mein khanjar chhupa ke rakkha hai ye dekhna hai ki ab war kis pe karta hai khabar ye aam hai phir bhi ye kaisa parda hai ki tuta aaina us ne sambhaal rakkha hai zaban bhi chup hai faza par hai khamushi tari hai kis ka khauf tujhe kyun kisi se darta hai tumhaare panw ke niche kahin zamin hi nahin safar ka kar ke tu kaise irada baitha hai hui hai sham darichon pe chand chamke hai hai kis ka saya jo shab bhar sisakta rahta hai kahan kahan na parindon ne pankh phailae magar ye kya ki kisi shakh par thikana hai