hai wajh-e-tamasha-e-jahan dil-shikani bhi

hai wajh-e-tamasha-e-jahan dil-shikani bhi
manzur hai ai dost! ye neze ki ani bhi

shadab darakhton ke bhi sae hain gurezan
ek jurm hui meri gharib-ul-watani bhi

pite hi rahe gardish-e-ayyam ke hathon
sahba-e-malamat bhi gham-e-tana-zani bhi

socha tha ki us bazm mein khamosh rahenge
mauzu-e-sukhan ban ke rahi kam-sukhani bhi

ai silsila-e-nikhat-e-gesu ke asiro!
hai ishq mein ek marhala-e-koh-kani bhi

viran jaziron ki tarah khushk hain aankhen
bekar hai ai dard teri nala-zani bhi

ai nazish-e-sad-rang na kar un se taghaful
hai khak-nashinon se teri gul-badani bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close