hawa pe chal raha hai chand rah-war ki tarah qadam utha rahi hai raat ek sawar ki tarah fasil-e-wadi-e-khayal se utar rahi hai shab kisi khamosh aur udas aabshaar ki tarah tadap raha hai barishon mein mere jism ka shajar siyah abr mein ghire hue chinar ki tarah inhi udasiyon ki kaenat mein kabhi to main khizan ko jit lungi mausam-e-bahaar ki tarah tere khayal ke safar mein tere sath main bhi hun kahin kahin kisi ghubar-e-rah-guzar ki tarah ubur kar saki na faslon ki gardishon ko main buland ho gai zamin kohsar ki tarah tere diye ki raushni ko dhundta hai sham se mera makan kisi lute hue dayar ki tarah