hawas ko hai nashat-e-kar kya kya na ho marna to jine ka maza kya tajahul-peshgi se muddaa kya kahan tak ai sarapa naz kya kya nawazish-ha-e-beja dekhta hun shikayat-ha-e-rangin ka gila kya nigah-e-be-mahaba chahta hun taghaful-ha-e-tamkin-azma kya farogh-e-shola-e-khas yak-nafas hai hawas ko pas-e-namus-e-wafa kya nafas mauj-e-muhit-e-be-khudi hai taghaful-ha-e-saqi ka gila kya dimagh-e-itr-e-pairahan nahin hai gham-e-awargi-ha-e-saba kya dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahar hum us ke hain hamara puchhna kya muhaba kya hai main zamin idhar dekh shahidan-e-nigah ka khun-baha kya sun ai ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun shikast-e-shisha-e-dil ki sada kya kiya kis ne jigar-dari ka dawa shakeb-e-khatir-e-ashiq bhala kya ye qatil wada-e-sabr-azma kyun ye kafir fitna-e-taqat-ruba kya bala-e-jaan hai 'ghaalib' us ki har baat ibarat kya ishaarat kya ada kya