qadr-dan koi na asfal hai na aala apna na zamin par na falak par hai thikana apna dast-e-shafqat se diya aap ne chhalla apna hath bhar badh gaya sine mein kaleja apna aae masti ke din ayyam-e-bahaari aae sher ki tarah laga gunjne sahra apna na bhara jam na saqi ne kabhi yaad kiya taq-e-nisyan pe dhara rahta hai mina apna dekhte bhi wo nahin aankh utha kar hum ko sad hota nahin sarkar mein chehra apna kis ke hathon hadaf-e-tir-e-bala hum na hue dil hai manind-e-kaman sab se kashida apna dil-jale dud-e-pareshan ki tarah hain barbaad hum kahin thahren to batlaen thikana apna kaun mushtaq hai hum dagh dikhaen kis ko dekhen khud surat-e-taus tamasha apna sharm bande ki tere hath hai ai rabb-e-karim na khule khak ke parde mein bhi parda apna hum ko jo ranj pahunchte hain wo kis se kahiye hum ko mehman samajhti nahin duniya apna zindagi chahiye jangal mein bhi kuchh khauf nahin ai junun sher ka aakhir kabhi ghar tha apna turfa khushki-o-tari ki hai hamein sair ai 'bahr' dasht hai apna ghubar ashk hai dariya apna