hawas luT liye shorish-e-tamanna ne

hawas lut liye shorish-e-tamanna ne
hari ruton ke liye ban gae hain diwane

badalte der nahin lagti ab haqiqat ko
jo kal ki baaten hain wo aaj ke hain afsane

hai ab to qat-e-talluq ki ek hi surat
khuda kare tu hamein dekh kar na pahchane

jo tere kuche se nikle to ek tamasha the
ajib nazron se dekha hai hum ko duniya ne

safar mein koi kisi ke liye thaharta nahin
na mud ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne

khizan ne dast-e-basarat ko das liya 'farigh'
chale the qafla-e-fasl-e-gul ko thahrane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close