hazar tarah se gardish mein aaftab raha nigah-e-naz ka lekin kahan jawab raha wo aa gae hain to ab chhodo is fasane ko kahan kahan main phira kis tarah kharab raha suna raha hun unhen jhut-mut ek qissa ki ek shakhs mohabbat mein kaamyab raha agarche aur bhi fitne uthe qayamat ke tera shabab hi aalam mein intikhab raha rah-e-hayat mein hum chaak-e-dil se dekhenge jahan jahan bhi rukh-e-dahr par naqab raha