hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar magar qayamat karoge barpa jo nikaloge be-hijab ho kar shanakht us ki ho sahl kyun-kar ki jab na tab bhes ek naya ho wo din ko khurshid ho ke nikle to raat ko mahtab ho kar main dil se us shaikh ka hun qail ki mai-kade mein padhe tahajjud lagae masjid mein nare hu-haq ke mahw-e-daur-e-sharab ho kar firaq mein is qadar taraddud abhi tumhein kuchh khabar nahin hai badhegi kuchh aur be-qarari visal mein kaamyab ho kar na kar tu itni mazammat is ki bahisht ki chiz hai ye waiz ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aaya sharab ho kar wo tha badan ya koi gul-e-tar phir us ki khushbu wo ruh-parwar jidhar se guzre basa wo rasta baha pasina gulab ho kar janab-e-'nasikh' ki ye hidayat hai yaad rakhna tum is ko 'asi' ghazal mein aise hon sher jin mein kami na ho intikhab ho kar