hinai jalti poren sabr ka phal dil ka darwaza sikudti dastaken hairat muqaffal dil ka darwaza kahin par habs ka mehwar kahin ujlat hawaon ki kahin par bijli pahne odhe baadal dil ka darwaza mahakti aas ki diwar se kai ukhadti hai bane jab sar ki chunari aur aanchal dil ka darwaza tanab-e-khema-e-ehsas ki wahshat sametega agar khul jae sahra par mukammal dil ka darwaza tamanna-e-sada matlub aaghushta ba-khun-manzar khamosh-o-khasta ek muddat se pagal dil ka darwaza bhatakti aankh gham hairat aziyyat reshmi parde ulajhti nind aithan khwab makhmal dil ka darwaza paraya hijr khamiyaze ki uljhan malgaje 'irshad' sisakta wasl kalak aankh ojhal dil ka darwaza