kya kaha phir to kaho dil ki khabar kuchh bhi nahin phir ye kya hai kham-e-gesu mein agar kuchh bhi nahin aankh padti hai kahin panw kahin padta hai sab ki hai tum ko khabar apni khabar kuchh bhi nahin shama hai gul bhi hai bulbul bhi hai parwana bhi raat ki raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhi nahin hashr ki dhum hai sab kahte hain yun hai yun hai fitna hai ek teri thokar ka magar kuchh bhi nahin nisti ki hai mujhe kucha-e-hasti mein talash sair karta hun udhar ki ki jidhar kuchh bhi nahin shama maghrur na ho bazm-farozi pe bahut raat-bhar ki ye tajalli hai sahar kuchh bhi nahin ek aansu bhi asar jab na kare ai 'tishna' faeda rone se ai dida-e-tar kuchh bhi nahin