hindu na ban saka main musalman na ban saka gita suni na hafiz-e-quran na ban saka main dard-e-sar to ban gaya har ek ke liye lekin kisi ke dard ka darman na ban saka masnad-nashin na ban saka ye aur baat thi sad haif tere dar ka bhi darban na ban saka khud mein sama ke khud ko hi karta raha salam apne siwa kisi ka sana-khwan na ban saka kitne hi shad-kaam bashar se khuda hue main bad-nasib aaj tak insan na ban saka kanta to ban gaya main kisi kharzar mein lekin kabhi gul-e-chamanistan na ban saka sher-o-sukhan mein yun to guzari tamam umr is par bhi 'azam' ek sukhan-dan na ban saka