hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila

hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila
junun ke daur mein bhi koi mashghala na mila

ab us gulab ne kante ki ek chubhan bhi na di
mila zarur wo mujh se magar khafa na mila

na tere qad ki koi bahr-e-khush-khiram mili
ghazal ka zikr hi kya koi qafiya na mila

jo bas chale to wo simta le har numu-e-badan
haya se apni koi yun thaka hua na mila

bhanwar ki chikh bulati rahi magar ai 'shaz'
andheri raat thi maujon ka naqsh-e-pa na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close