na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil

na do dushnam hum ko itni bad-khui se kya hasil
tumhein dena hi hoga bosa kham-rui se kya hasil

dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil
na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil

na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai
jahan ho kaam khanjar ka wahan sui se kya hasil

burai ya bhalai go hai apne waste lekin
kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-gui se kya hasil

na kar fikr-e-khizab ai shaikh tu piri mein jaane de
jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil

chadhae aastin khanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai
use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil

abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere
ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil

shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko
saba howega mushk-chin ki khushbui se kya hasil

na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib
'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close