ho rahi thi guftugu aaj mumkinat par

ho rahi thi guftugu aaj mumkinat par
la ke phul rakh diya us ne mere hat par

hum sada nibhaenge chhod kar na jaenge
aa gai hamein hansi aaj un ki baat par

aap hi bataiye hum se mat chhupaiye
aap bhi to the miyan ja-e-wardat par

hijr ki shaben sabhi subhen sari dard ki
kitna bojh rakh liya hum ne apni zat par

sab niras kyun hue dil udas kyun hue
sare mil ke sochiye in muamalat par

koi kya samajh sake un ki ahmiyat hai kya
ghaur kar raha hun main aaj jin nikat par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close