ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka
waqt badlega kisi din rukh meri taswir ka

jaan-lewa hai tumhaara be-niyazi ka chalan
hashr dekhe hi banega ab dil-e-dil-gir ka

baithti hai kaun si karwat ye bazi ishq ki
gardishon ke hath mein hai faisla taqdir ka

kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko
khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka

lutf lete ho kaman se chhod kar jis ko ab aap
kash koi mujh se puchhe kya hua us tir ka

rekhta se ishq 'azim'? wo bhi aise daur mein
dekhna kya haal hota hai teri tahrir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close