hosh aate hi hasinon ko qayamat aai aankh mein fitnagari dil mein shararat aai kya tasawwur hai nihayat mujhe hairat aai aaine mein bhi nazar teri hi surat aai is ada se dam-e-raftar qayamat aai aise hum kyun na hue un ko ye hasrat aai roz-e-mahshar jo meri dad ki naubat aai ye gai wo gai kab hath qayamat aai ab isi par to hai takid wafadari ki jab gaya jaan se main ghair ki shamat aai kah gae tan se wo aa ke mere marqad par sone wale tujhe kis tarah se rahat aai ban sanwar kar jo wo aae to ye main jaan gaya ab gai jaan gai aai tabiat aai rakh diya munh pe mere hath shab-e-wasl us ne be-hijabi ke liye kaam shikayat aai jab ye khata hai mera khun-e-jigar khata hai dil-e-bimar ko kis chiz pe raghbat aai garche az-had hun gunahgar musalman to hun pichhe pichhe mere dozakh mein bhi jannat aai main hua shefta un par wo adu par shaida sath ke sath hi donon ki tabiat aai umr bhar us ko kaleje se lagae rakha tere bimar ko jis dard mein lazzat aai hijr mein jaan nikalti nahin kya aafat hai mar kar aaj ajal ko shab-e-furqat aai apne diwanon ko dekha to kaha ghabra kar ye nai waza ki kis mulk se khilqat aai jazb-e-dil khinch hi laya unhen mere dar tak panw padti hui har-chand nazakat aai yun to pamal hue saikdon mitne wale pahle ginti mein jo aai meri turbat aai hashr ka wada bhi karte nahin wo kahte hain farz kar lo jo kai bar qayamat aai 'dagh' ghabrao nahin ab koi dam ke dam mein lo mubarak ho taraqqi ki bhi saat aai