hosh o khirad se begana ban ja har fasl-e-gul mein diwana ban ja aa dil ki basti aabaad kar de ek shab charagh-e-virana ban ja khalwat mein kya hai jalwat mein gum ho zinda haqiqat-e-afsana ban ja be-soz hai bazm-e-ilm-o-danish sham-e-yaqin ka parwana ban ja kitni piyega jam o subu se mast-e-nigah-e-mastana ban ja