dil use de diya 'sakhi' hi to hai marhaba parwarish-e-ali hi to hai dil diya hai dilawari hi to hai jaan bhi us ko denge ji hi to hai kyun hasinon ki aankh se na lade meri putli ki mardumi hi to hai na hui hum se umr bhar sidhi abru-e-yar ki kaji hi to hai aariz us ka na dekhun mar jaun zindagi meri aarzi hi to hai na hanse wo na gul dahan ka khula abhi nam-e-khuda kali hi to hai ki khitabat ko gar khuda samjha banda bhi aakhir aadmi hi to hai gal mein wan hawa ke sadme se pad gaya nil nazuki hi to hai aaj kyun chaunk chaunk padte ho is makan mein faqat 'sakhi' hi to hai