hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban

hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban
ba-rangrag-e-gul hai tar-e-gareban

rahe hai sada chaak matam-kada mein
tahayyur nahin ikhtiyar-e-gareban

kabhu hath daman tak us ke na pahuncha
che-jae ki qurb-o-jawar-e-gareban

teri dekh aankhen khajil hogi nargis
jhuka chashm ko hai do-chaar-e-gareban

bane mauj ro aastin gar nichodun
ho girdab har ja fishaar-e-gareban

saba kab uthate hain jun nikhat-e-gul
subuk-ruh gardan pe bar-e-gareban

supurd hum ne ab naseha kar diya hai
ba-dast-e-junun karobar-e-gareban

jahan mein hai khurshid se subh raushan
ki aata hai tikma ba-kar-e-gareban

gale mein hai champa kali ya kisu ke
hain lakht-e-jigar ham-kanar-e-gareban

lagai nahin us ne gote ki magzi
hui barq aa kar nisar-e-gareban

nahin tauq pahne hai qumri ki hai ab
ye zeb-e-gulu-band o haar-e-gareban

gulistan mein ye moatakif hai jo ab hai
sar-e-ghuncha sohbat barar-e-gareban

'nasir' ab yahan chashm-e-sozan hai mahram
z-sar-rishta-hae waqar-e-gareban


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close