mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main

mujhe ye justuju kyun ho ki kya hun aur kiya tha main
koi apne siwa hun main koi apne siwa tha main

na jaane kaun sa aatish-fishan tha mere sine mein
ki khali tha bahut phir bhi dhamak kar phat pada tha main

to kya main ne nashe mein waqai ye guftugu ki thi
mujhe khud bhi nahin malum tha jo sochta tha main

khud apne khol mein ghut kar na rah jata to kya karta
yahan ek bhid thi jis bhid mein gum ho gaya tha main

na lutna meri qismat hi mein tha likkha hua warna
andheri raat thi aur bich raste mein khada tha main

guzarne ko to mujh par bhi ajab ek hadisa guzra
magar us waqt jab sadmon ka aadi ho chuka tha main

main kahta tha suno sachchai to khud hai sila apna
ye nukta iktisabi tha magar sach bolta tha main

tujhe to dusron se bhi ulajhne mein takalluf tha
mujhe to dekh apne-ap se uljha hua tha main

khulus o iltifat o mehr jo hai ab usi se hai
jise pahle na jaane kis nazar se dekhta tha main

jo ab yun mere girda-gird hain kuchh roz pahle tak
unhi logon ke haq mein kis qadar sabr-azma tha main

bahut khush-khulq tha main bhi magar ye baat jab ki hai
na auron hi se waqif tha na khud ko jaanta tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close