hudud-e-jalwa-e-kaun-o-makan mein rahte hain na jaane ahl-e-nazar kis jahan mein rahte hain hamein to mausam-e-gul ne hi kar diya ruswa suna hai log salamat khizan mein rahte hain ayan hai un ke sitam se hamara zauq-e-niyaz hum aag ban ke mizaj-e-butan mein rahte hain kahan talash karegi hamein bahaar ki hum kabhi qafas mein kabhi aashiyan mein rahte hain wo raaz jin ka labon ne na ehtiram kiya barahna ho ke dil-e-raaz-dan mein rahte hain ghurur-e-hikmat-o-danish mein jhumne walo kuchh ahl-e-dil bhi isi khak-dan mein rahte hain 'qatil' arz-e-watan mein bhi hun main khak-basar mere nasib kahin aasman mein rahte hain