hue ab humse tum gar dushman-e-jaani to behtar hai

hue ab hum se tum gar dushman-e-jaani to behtar hai
miyan ghairon se mil kar dil mein yun thani to behtar hai

nahin hai khub sohbat har kisi kam-zarf se lekin
nahin gar mante az-rah-e-nadani to behtar hai

ba-juz khush-tabai-o-chashmak na dekha harf mein tum se
karo mauquf agar ye waz-e-rindani to behtar hai

ze-rue-khair-khwahi tum se main kahta hun ai pyare
nasihat tum ne ye meri agar mani to behtar hai

jahan se uth gaya 'sauda' sa shair haif ai 'mahir'
kare gar tark tu sher-e-ghazal-khwani to behtar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close